Shayari
aah marg-e-aadmi par aadmi roe bahut
koi bhi royaa na marg-e-aadamiyyat ke liye
kahin ye tark-e-mohabbat ki ibtidaa to nahin
vo mujh ko yaad kabhi is qadar nahin aae
کہیں یہ ترک محبت کی ابتدا تو نہیں
وہ مجھ کو یاد کبھی اس قدر نہیں آئے
कहीं ये तर्क-ए-मोहब्बत की इब्तिदा तो नहीं
वो मुझ को याद कभी इस क़दर नहीं आए

aah marg-e-aadmi par aadmi roe bahut
koi bhi royaa na marg-e-aadamiyyat ke liye
tiri talaash mein jab ham kabhi nikalte hain
ik ajnabi ki tarah raaste badalte hain
ham ko manzil ne bhi gumraah kiyaa
raaste nikle kai manzil se
dosti aam hai lekin ai dost
dost miltaa hai baDi mushkil se
zamaane bhar ke gham yaa ik tiraa gham
ye gham hogaa to kitne gham na honge
mohabbat karne vaale kam na honge
tiri mahfil mein lekin ham na honge
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mai-kade ko jaa ke dekh aauun ye hasrat dil mein hai
zaahid us miTTi ki ulfat meri aab-o-gil mein hai
butaan-e-sarv-qaamat ki mohabbat mein na phal paayaa
riyaazat jin pe ki barson vo nakhl-e-be-samar nikle
harf-e-dushnaam se yuun us ne navaazaa ham ko
ye malaamat hi mohabbat kaa sila ho jaise