Shayari
aah marg-e-aadmi par aadmi roe bahut
koi bhi royaa na marg-e-aadamiyyat ke liye
ham ko manzil ne bhi gumraah kiyaa
raaste nikle kai manzil se
ہم کو منزل نے بھی گمراہ کیا
راستے نکلے کئی منزل سے
हम को मंज़िल ने भी गुमराह किया
रास्ते निकले कई मंज़िल से

aah marg-e-aadmi par aadmi roe bahut
koi bhi royaa na marg-e-aadamiyyat ke liye
tiri talaash mein jab ham kabhi nikalte hain
ik ajnabi ki tarah raaste badalte hain
dosti aam hai lekin ai dost
dost miltaa hai baDi mushkil se
zamaane bhar ke gham yaa ik tiraa gham
ye gham hogaa to kitne gham na honge
agar tu ittifaaqan mil bhi jaae
tiri furqat ke sadme kam na honge
mohabbat karne vaale kam na honge
tiri mahfil mein lekin ham na honge
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa ki hai mukhtasar mujh ko
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein