Shayari
aane lage hain vo bhi ayaadat ke vaaste
ai chaaraagar mariz ko achchhaa kiyaa na jaae
H
Hameed Jalandharikis shaan se gae hain shahidaan-e-ku-e-yaar
qaatil bhi haath uThaa ke sharik-e-duaa hue
کس شان سے گئے ہیں شہیدان کوئے یار
قاتل بھی ہاتھ اٹھا کے شریک دعا ہوئے
किस शान से गए हैं शहीदान-ए-कू-ए-यार
क़ातिल भी हाथ उठा के शरीक-ए-दुआ हुए
aane lage hain vo bhi ayaadat ke vaaste
ai chaaraagar mariz ko achchhaa kiyaa na jaae
siine mein raaz-e-ishq chhupaayaa na jaaegaa
ye aag vo hai jis ko dabaayaa na jaaegaa
un ki jafaaon par bhi vafaa kaa huaa gumaan
apni vafaaon ko bhi faraamosh kar diyaa
phir gai ik aur hi duniyaa nazar ke saamne
baiThe baiThe kyaa bataaun kyaa mujhe yaad aa gayaa
hui muddat ki un ko khvaab mein bhi ab nahin dekhaa
main jin galiyon mein apne doston ke saath khelaa thaa
bhuli nahin ujDe hue gulshan ki bahaarein
haan yaad hain vo din ki hamaaraa bhi khudaa thaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
dosti ko buraa samajhte hain
kyaa samajh hai vo kyaa samajhte hain
mujh ko aur yaar ko donon se sarokaar nahin
kufr kaafir ko musalmaan ko hai islaam pasand
achchhi-khaasi dosti thi yaar ham donon ke biich
ek din phir us ne izhaar-e-mohabbat kar diyaa
chaahiye hai mujhe inkaar-e-mohabbat mire dost
lekin is mein tiraa inkaar nahin chaahiye hai