Shayari
mili na ham ko shahaadat to kyaa ye kyaa kam hai
ki saari 'umr rah-e-karbalaa pe chalte rahe
gulshan mein ye bahaar ruki hi rahegi kyaa
ye chaandni badan ki khili hi rahegi kyaa
گلشن میں یہ بہار رکی ہی رہے گی کیا
یہ چاندنی بدن کی کھلی ہی رہے گی کیا
गुलशन में ये बहार रुकी ही रहेगी क्या
ये चाँदनी बदन की खिली ही रहेगी क्या

mili na ham ko shahaadat to kyaa ye kyaa kam hai
ki saari 'umr rah-e-karbalaa pe chalte rahe
tire gham ne 'ataa ki hai 'ajab paakizgi mujh ko
main rotaa huun to aankhon se miri zamzam nikaltaa hai
hai dida-var to ek nazar mein parakh mujhe
laazim nahin kisi ko kai baar dekhnaa
bhalaa vo khaak samjheinge khudaa kyaa hai khudi kyaa hai
jo ab tak ye nahin samjhe maqaam-e-aadmi kyaa hai
bisaat-e-khaak par behad qad-aavar lag rahe the jo
bulandi par pahunch kar vo bahut chhoTe nazar aae
shaa'iri kyaa hai miri jaan tujhe maa'lum nahin
ek tohmat hai jo mujh par bhi lagaa di gai hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
mahakti zulfon se khoshe gulon ke chhuT gire
kuchh aur jaise ki gunjaaish-e-bahaar na thi
tire labon ko mili hai shaguftagi gul ki
hamaari aankh ke hisse mein jharne aae hain