Shayari
jab se kuchh qaabu hai apnaa kaakul-e-khamdaar par
saanp har dam loTtaa hai sina-e-aghyaar par
H
Haqeerishq ke phande se bachiye ai 'haqir'-e-khasta-dil
is kaa hai aaghaaz shirin aur hai anjaam talkh
عشق کے پھندے سے بچئے اے حقیرؔ خستہ دل
اس کا ہے آغاز شیریں اور ہے انجام تلخ
इश्क़ के फंदे से बचिए ऐ 'हक़ीर'-ए-ख़स्ता-दिल
इस का है आग़ाज़ शीरीं और है अंजाम तल्ख़
jab se kuchh qaabu hai apnaa kaakul-e-khamdaar par
saanp har dam loTtaa hai sina-e-aghyaar par
kyaa jaanein un ki chaal mein eajaaz hai ki sehr
vo bhi unhin se mil gae jo the hamaare log
khuub mil kar gale se ro lenaa
is se dil ki safaai hoti hai
yak-ba-yak tark na karnaa thaa mohabbat mujh se
khair jis tarah se aataa thaa vo aataa jaataa
jaantaa us ko huun davaa ki tarah
chaahtaa us ko huun shifaa ki tarah
band-e-qabaa pe haath hai sharmaae jaate hain
kamsin hain zikr-e-vasl se ghabraae jaate hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
pyaar ki baatein kijiye saahab
lutf sohbat kaa guftugu se hai
harjaaiyon ke ishq ne kyaa kyaa kiyaa zalil
rusvaa rahe kharaab rahe dar-ba-dar rahe
duniyaa mein koi ishq se bad-tar nahin hai chiiz
dil apnaa muft dijiye phir ji se jaaiye
labon pe jaan hai ik dam kaa aur mehmaan hai
mariz-e-ishq-o-mohabbat kaa tere haal ye hai