Shayari
jab se kuchh qaabu hai apnaa kaakul-e-khamdaar par
saanp har dam loTtaa hai sina-e-aghyaar par
H
Haqeerkyuun na kaabe ko kahun allaah kaa aur but kaa ghar
vo bhi mere dil mein hai aur ye bhi mere dil mein hai
کیوں نہ کعبہ کو کہوں اللہ کا اور بت کا گھر
وہ بھی میرے دل میں ہے اور یہ بھی میرے دل میں ہے
क्यूँ न का'बे को कहूँ अल्लाह का और बुत का घर
वो भी मेरे दिल में है और ये भी मेरे दिल में है
jab se kuchh qaabu hai apnaa kaakul-e-khamdaar par
saanp har dam loTtaa hai sina-e-aghyaar par
kyaa jaanein un ki chaal mein eajaaz hai ki sehr
vo bhi unhin se mil gae jo the hamaare log
khuub mil kar gale se ro lenaa
is se dil ki safaai hoti hai
yak-ba-yak tark na karnaa thaa mohabbat mujh se
khair jis tarah se aataa thaa vo aataa jaataa
jaantaa us ko huun davaa ki tarah
chaahtaa us ko huun shifaa ki tarah
band-e-qabaa pe haath hai sharmaae jaate hain
kamsin hain zikr-e-vasl se ghabraae jaate hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
bujhne ki dil ki aag nahin zer-e-khaak bhi
hogaa darakht gor pe meri chinaar kaa
phir mujhe le chalaa udhar dekho
dil-e-khaana-kharaab ki baatein
diin kyon ki na vo daagh-e-alam aur ziyaada
qimat mein baDhe dil ke diram aur ziyaada
ye kis mazhab mein aur mashrab mein hai hindu musalmaano
khudaa ko chhoD dil mein ulfat-e-dair-o-haram rakhnaa