Shayari
dhaDakti qurbaton ke khvaab se jaage to jaanaa
zaraa se vasl ne kitnaa akelaa kar diyaa hai
ye kaar-e-ishq to bachchon kaa khel Thahraa hai
so kaar-e-ishq mein koi kamaal kyaa karnaa
یہ کار عشق تو بچوں کا کھیل ٹھہرا ہے
سو کار عشق میں کوئی کمال کیا کرنا
ये कार-ए-इश्क़ तो बच्चों का खेल ठहरा है
सो कार-ए-इश्क़ में कोई कमाल क्या करना

dhaDakti qurbaton ke khvaab se jaage to jaanaa
zaraa se vasl ne kitnaa akelaa kar diyaa hai
judaai ki ruton mein suratein dhundlaane lagti hain
so aise mausamon mein aaina dekhaa nahin karte
kyaa shakhs thaa uDaataa rahaa umr bhar mujhe
lekin havaa se haath milaane nahin diyaa
savaal ye nahin mujh se hai kyuun gurezaan vo
savaal ye hai ki kyuun jism o jaan se baahar hai
bachchon ke saath aaj use dekhaa to dukh huaa
un mein se koi ek bhi maan par nahin gayaa
sivaa tere har ik shai ko haTaa denaa hai manzar se
aur is ke baa'd khud ko be-sar-o-saamaan karnaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ek hi din milaa mohabbat ko
saal bhar ki thakan utaari gai
ab zamaane mein mohabbat hai tamaashe ki tarah
is tamaashe se bahaltaa nahin tu bhi main bhi
sach hai ki mohabbat mein nahin koi kisi kaa
paighaam zamaane ko main detaa huun khushi kaa
mohabbat ab talak rakhti hai ye taasir majnun ki
ki bin lailaa nahin khinchti kahin tasvir majnun ki