Shayari
hamaare aansu kisi Thikaane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib paani kaa kyaa banegaa
paagal kiyaa hai ishq ne aadhaa jo rah gayaa
ab aadhe sar ke dard kaa puuraa mariz huun
پاگل کیا ہے عشق نے آدھا جو رہ گیا
اب آدھے سر کے درد کا پورا مریض ہوں
पागल किया है इश्क़ ने आधा जो रह गया
अब आधे सर के दर्द का पूरा मरीज़ हूँ

hamaare aansu kisi Thikaane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib paani kaa kyaa banegaa
tumhaari aankhon pe nazm kahne se pahle ham ne bhigoi aankhein
sunaa huaa thaa zamin nam ho to achchhi hoti hai kaasht-kaari
ham aise log zaaea ho rahe hain
khudaa chup-chaap dekhe jaa rahaa hai
us ke meaar par khudaa laae
us nazar tak to aa gae hain ham
sitaare dekhne vaale hamein bataate hain
hamaare honT tumhaari jabin ko tarseinge
ye saath gaanv mein ek chhoTaa saa kaam hai bas
miri udaasi udaas mat ho main aa rahaa huun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo dard uThaa dil mein ki jis dard kaa darmaan
gar ho na pas-e-lafz to miltaa hai sar-e-daar
jaane vo kaun thaa aur kis ko sadaa detaa thaa
us se bichhDaa hai koi itnaa pata detaa thaa
tu koi gham hai to dil mein jagah banaa apni
tu ik sadaa hai to ehsaas ki kamaan se nikal