Shayari
kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
vo dard uThaa dil mein ki jis dard kaa darmaan
gar ho na pas-e-lafz to miltaa hai sar-e-daar
وہ درد اٹھا دل میں کہ جس درد کا درماں
گر ہو نہ پس لفظ تو ملتا ہے سر دار
वो दर्द उठा दिल में कि जिस दर्द का दरमाँ
गर हो न पस-ए-लफ़्ज़ तो मिलता है सर-ए-दार

kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
kabhi ye gham thaa ki samjhaa nahin koi ham ko
aur ab ye Dar ki kisi ne samajh liyaa hi na ho
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
husn aisaa thaa ki har ik aainaa kam paD gayaa
aaina kyaa umr bhar kaa dekhnaa kam paD gayaa
ye jahaan ek tamaashaa hai sabhi kahte hain
tum na hote to ise ham bhi tamaashaa kahte
dard thaa haijaan thaa par aankh mein aansu na the
jaise dil tak aate aate haadisa kam paD gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dil-e-aafat-zada kaa muddaaa kyaa
shikasta saaz kyaa us ki sadaa kyaa
vo chaahtaa thaa ki dekhe mujhe bikharte hue
so us kaa jashn ba-sad-ehtimaam main ne kiyaa
dil to rotaa rahe aur aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rivaayaat ne dil toD diyaa