Shayari
hamaare aansu kisi Thikaane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib paani kaa kyaa banegaa
tumhaare husn kaa sadqa utarnaa laazmi hai
so yuun karo kisi bachche ko maathaa chumne do
تمہارے حسن کا صدقہ اترنا لازمی ہے
سو یوں کرو کسی بچے کو ماتھا چومنے دو
तुम्हारे हुस्न का सदक़ा उतरना लाज़मी है
सो यूँ करो किसी बच्चे को माथा चूमने दो

hamaare aansu kisi Thikaane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib paani kaa kyaa banegaa
tumhaari aankhon pe nazm kahne se pahle ham ne bhigoi aankhein
sunaa huaa thaa zamin nam ho to achchhi hoti hai kaasht-kaari
ham aise log zaaea ho rahe hain
khudaa chup-chaap dekhe jaa rahaa hai
us ke meaar par khudaa laae
us nazar tak to aa gae hain ham
sitaare dekhne vaale hamein bataate hain
hamaare honT tumhaari jabin ko tarseinge
ye saath gaanv mein ek chhoTaa saa kaam hai bas
miri udaasi udaas mat ho main aa rahaa huun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aansu bataa rahe hain ki mujh mein hai zindagi
yaa'ni main intizaar mein patthar nahin huaa
miri barbaadiyon kaa ham-nashino
tumhein kyaa khud mujhe bhi gham nahin hai
rudaad-e-gham-e-ulfat un se ham kyaa kahte kyunkar kahte
ik harf na niklaa honTon se aur aankh mein aansu aa bhi gae