Shayari
gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam
dahkaa huaa hai aatish-e-gul se chaman tamaam
روشن جمال یار سے ہے انجمن تمام
دہکا ہوا ہے آتش گل سے چمن تمام
रौशन जमाल-ए-यार से है अंजुमन तमाम
दहका हुआ है आतिश-ए-गुल से चमन तमाम

gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
raat din naama-o-paighaam kahaan tak doge
saaf kah dijiye milnaa hamein manzur nahin
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqi buland
tujh ko to muft logon ne mashhur kar diyaa
taasir-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi
ik larzish-e-khafi mire saare badan mein thi
ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
chhup nahin sakti chhupaane se mohabbat ki nazar
paD hi jaati hai rukh-e-yaar pe hasrat ki nazar
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
itnaa batlaa mujhe harjaai huun main yaar ki tu
main har ik shakhs se rakhtaa huun sarokaar ki tu
jis ghaDi ghurte ho ghussa se
nikle paDtaa hai pyaar aankhon mein
yaar tanhaa ghar mein hai afsos lekin ham nahin
huur to hai gulshan-e-firdaus mein aadam nahin
is taraf dair udhar kaaba kidhar ko jaaun
is do-raahe mein kahaan yaar rahaa kartaa hai
main tinke chuntaa phirtaa huun sayyaad tiliyaan
tayyaar ho rahaa hai qafas aashiyaan ke saath