Shayari
lai na TuuTe zindagi ke saaz ki
zindagi aavaaz hi aavaaz hai
aashiq ki bhi hasti hai duniyaa mein ajab hasti
zinda hai to rusvaa hai mar jaae to afsaana
عاشق کی بھی ہستی ہے دنیا میں عجب ہستی
زندہ ہے تو رسوا ہے مر جائے تو افسانہ
आशिक़ की भी हस्ती है दुनिया में अजब हस्ती
ज़िंदा है तो रुस्वा है मर जाए तो अफ़्साना

lai na TuuTe zindagi ke saaz ki
zindagi aavaaz hi aavaaz hai
zabt-e-gham vufur-e-shauq aur dil-e-naa-subur-e-ishq
mujh ko to hai ghurur-e-ishq aap ko naaz ho na ho
chheDiye saaz-e-zindagi naghma-navaaz ho na ho
aah to kar ke dekhiye soz mein saaz ho na ho
zindagi kaa saaz bhi kyaa saaz hai
baj rahaa hai aur be-aavaaz hai
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aur bhi to hain zamaane mein tumhaare aashiq
ek main hi tumhein kyaa qaabil-e-ilzaam milaa
tire kuche se judaa rote hain shab ko aashiq
aaj-kal baarish-e-shabnam hai chaman se baahar
lazzat-e-ishq ilaahi miT jaae
dard armaan huaa jaataa hai
chheD maashuq se kiije to zaraa tham tham kar
roz ke naama o paighaam bure hote hain