Shayari
hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
lazzat-e-ishq ilaahi miT jaae
dard armaan huaa jaataa hai
لذت عشق الٰہی مٹ جائے
درد ارمان ہوا جاتا ہے
लज़्ज़त-ए-इश्क़ इलाही मिट जाए
दर्द अरमान हुआ जाता है

hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
dil hi to hai na aae kyuun dam hi to hai na jaae kyuun
ham ko khudaa jo sabr de tujh saa hasin banaae kyuun
baad muddat ke ye ai 'daagh' samajh mein aayaa
vahi daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
na ronaa hai tariqe kaa na hansnaa hai saliqe kaa
pareshaani mein koi kaam ji se ho nahin saktaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
jhuTi phir kis ki qasam khaaiyegaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ab bhi aksar shab-e-tanhaai mein kuchh tahrirein
chaand ke aks se ho jaati hain raushan raushan
band rahte hain jo alfaaz kitaabon mein sadaa
gardish-e-vaqt miTaa deti hai pahchaan un ki
gham se mansub karun dard kaa rishta de duun
zindagi aa tujhe jiine kaa saliqa de duun