Shayari
duaa hi vajh-e-karaamaat thoDi hoti hai
ghazab ki dhuup mein barsaat thoDi hoti hai
ham is shahr-e-jafaa-pesha se kuchh ummid kyaa rakkhein
yahaan is haav-hu mein khaamushi ko kaun likkhegaa
ہم اس شہر جفا پیشہ سے کچھ امید کیا رکھیں
یہاں اس ہاو ہو میں خامشی کو کون لکھے گا
हम इस शहर-ए-जफ़ा-पेशा से कुछ उम्मीद क्या रक्खें
यहाँ इस हाव-हू में ख़ामुशी को कौन लिक्खेगा

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa