Shayari
jahaan ik shakhs bhi miltaa nahin hai chaahne se
vahaan ye dil hatheli par zamaana chaahtaa hai
fasaana ab koi anjaam paanaa chaahtaa hai
taalluq TuTne ko ik bahaana chaahtaa hai
فسانہ اب کوئی انجام پانا چاہتا ہے
تعلق ٹوٹنے کو اک بہانہ چاہتا ہے
फ़साना अब कोई अंजाम पाना चाहता है
तअल्लुक़ टूटने को इक बहाना चाहता है

jahaan ik shakhs bhi miltaa nahin hai chaahne se
vahaan ye dil hatheli par zamaana chaahtaa hai
bahut taakhir se paayaa hai khud ko
main apne sabr kaa phal ho gai huun
sunaa hai khvaab mukammal kabhi nahin hote
sunaa hai ishq khataa hai so kar ke dekhte hain
huzur aap koi faisla karein to sahi
hain sar jhuke hue darbaar bhi lagaa huaa hai
zikr sunti huun ujaale kaa bahut
us se kahnaa ki mire ghar aae
guzar jaaegi saari raat is mein
miraa qissa kahaani se baDaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ye aalaam-e-hasti ye daur-e-zamaana
to kyaa ab tumhein bhuul jaanaa paDegaa
milnaa aur bichhaD jaanaa kisi raste par
ik yahi qissa aadamiyon ke saath rahaa
idhar se main bhi jaanaa chaahtaa huun
udhar se bhi ishaara ho gayaa hai
pi liyaa karte hain jiine ki tamannaa mein kabhi
laDkhaDaanaa bhi zaruri hai sambhalne ke liye