Shayari
din ke bhule ko raat Dasti hai
shaam ko vaapsi nahin hoti
chaand kaa husn bhi zamin se hai
chaand par chaandni nahin hoti
چاند کا حسن بھی زمین سے ہے
چاند پر چاندنی نہیں ہوتی
चाँद का हुस्न भी ज़मीन से है
चाँद पर चाँदनी नहीं होती

din ke bhule ko raat Dasti hai
shaam ko vaapsi nahin hoti
likhne ko likh rahe hain ghazab ki kahaaniyaan
likkhi na jaa saki magar apni hi daastaan
husn banaa jab bahti gangaa
ishq huaa kaaghaz ki naav
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
zamin ki kokh hi zakhmi nahin andheron se
hai aasmaan ke bhi siine pe aaftaab kaa zakhm
ajiib baat hai kichaD mein lahlahaae kanval
phaTe puraane se jismon pe saj ke resham aae
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
iid mein iid hui aish kaa saamaan dekhaa
dekh kar chaand jo munh aap kaa ai jaan dekhaa
lauTaa jab chaand bhi suraj bhi khasaaraa kar ke
ham ne chamkaa diyaa aangan ko sitaaraa kar ke
main kahkashaaon mein khushiyaan talaashne niklaa
mire sitaare meraa chaand sab udaas rahe
aaya na phir bhi chaand utar kar zamin par
karte rahe darakht ishaare tamaam raat