Shayari
vo mujh ko bhuul chukaa ab yaqin hai varna
vafaa nahin to jafaaon kaa silsila rakhtaa
dekh kar insaan ki bechaargi
shaam se pahle parinde so gae
دیکھ کر انسان کی بیچارگی
شام سے پہلے پرندے سو گئے
देख कर इंसान की बेचारगी
शाम से पहले परिंदे सो गए

vo mujh ko bhuul chukaa ab yaqin hai varna
vafaa nahin to jafaaon kaa silsila rakhtaa
agar vo chaand ki basti kaa rahne vaalaa thaa
to apne saath sitaaron kaa qaafila rakhtaa
zehn o dil ke faasle the ham jinhein sahte rahe
ek hi ghar mein bahut se ajnabi rahte rahe
patthar ke jism mom ke chehre dhuaan dhuaan
kis shahr mein uDaa ke havaa le gai mujhe
vo mil gayaa to bichhaDnaa paDegaa phir 'zarrin'
isi khayaal se ham raaste badalte rahe
kaun pahchaanegaa 'zarrin' mujh ko itni bhiiD mein
mere chehre se vo apni har nishaani le gayaa
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
dil aur shama donon baraabar hain sokhta
uThtaa hai kis jagah se dhuaan dekhte raho
shaam-e-hijraan bhi ik qayaamat thi
aap aae to mujh ko yaad aayaa