Shayari
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
I
Imdad Ali Bahrjaan sadqe ek bose par kareinge umr-bhar
dekh lo munh se milaa kar munh hamaaraa jhuuT sach
جان صدقے ایک بوسے پر کریں گے عمر بھر
دیکھ لو منہ سے ملا کر منہ ہمارا جھوٹ سچ
जान सदक़े एक बोसे पर करेंगे उम्र-भर
देख लो मुँह से मिला कर मुँह हमारा झूट सच
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
khush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
mire qatl par tum ne biiDaa uThaayaa
mire haath kaa paan khaayaa to hotaa
ham na kahte the hansi achchhi nahin
aa gai aakhir rukaavaT dekhiye
mire baghair na ik-dam use qaraar aataa
zaraa bhi zabt jo mujh be-qaraar mein hotaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
na udaas ho na malaal kar kisi baat kaa na khayaal kar
kai saal baa'd mile hain ham tere naam aaj ki shaam hai
bahut khaamosh rah kar jo sadaaein mujh ko detaa thaa
baDe sundar se jazbon ki qabaaein mujh ko detaa thaa
anjaam khushi kaa duniyaa mein sach kahte ho gham hotaa hai
saabit hai gul aur shabnam se jo hanstaa hai vo rotaa hai