Shayari
mire aqab mein hai aavaaza-e-numu ki guunj
hai dasht-e-jaan kaa safar kaamyaab apni jagah
jidhar bhi jaataa hai vo shola-e-bahaar-sarisht
duaaein detaa hai amboh-e-kushtgaan us ko
جدھر بھی جاتا ہے وہ شعلۂ بہار سرشت
دعائیں دیتا ہے انبوہ کشتگاں اس کو
जिधर भी जाता है वो शोला-ए-बहार-सरिश्त
दुआएँ देता है अम्बोह-ए-कुश्तगाँ उस को

mire aqab mein hai aavaaza-e-numu ki guunj
hai dasht-e-jaan kaa safar kaamyaab apni jagah
vo mere raaz mujh mein chaahtaa hai munkashif karnaa
mujhe mere ghane saae mein tanhaa chhoD jaataa hai
chashma-e-aab-e-ravaan hai jo saraab-e-jaan mein
us ki har lahr mein raqsaan hai tarannum teraa
vo ik lamha jo tere qurb ki khushbu se hai raushan
ab is lamhe ko paaband-e-salaasil chaahtaa huun main
chaar jaanib chikhti samton kaa shor
haanpte saae thakan aur inhitaat
mire kamre ki divaaron mein aise aaine bhi hain
ki jin ke paas har shakhs apnaa chehraa chhoD jaataa hai
maan ki duaa na baap ki shafqat kaa saayaa hai
aaj apne saath apnaa janam din manaayaa hai
aarzu hasrat tamanna muddaaa koi nahin
jab se tum ho mere dil mein dusraa koi nahin
duaa karo ki main us ke liye duaa ho jaaun
vo ek shakhs jo dil ko duaa saa lagtaa hai
aagahi daam-e-shunidan jis qadar chaahe bichhaae
muddaaa anqaa hai apne aalam-e-taqrir kaa
hamaare shahr ki rivaayaton mein ek ye bhi thaa
duaa se qabl puchhnaa asar mein kitni der hai
safar mein maan ki duaaon se chhat banaataa huun
agar kabhi na mayassar ho saaebaan mujhe