Shayari
mire aqab mein hai aavaaza-e-numu ki guunj
hai dasht-e-jaan kaa safar kaamyaab apni jagah
vo mere raaz mujh mein chaahtaa hai munkashif karnaa
mujhe mere ghane saae mein tanhaa chhoD jaataa hai
وہ میرے راز مجھ میں چاہتا ہے منکشف کرنا
مجھے میرے گھنے سائے میں تنہا چھوڑ جاتا ہے
वो मेरे राज़ मुझ में चाहता है मुन्कशिफ़ करना
मुझे मेरे घने साए में तन्हा छोड़ जाता है

mire aqab mein hai aavaaza-e-numu ki guunj
hai dasht-e-jaan kaa safar kaamyaab apni jagah
jidhar bhi jaataa hai vo shola-e-bahaar-sarisht
duaaein detaa hai amboh-e-kushtgaan us ko
chashma-e-aab-e-ravaan hai jo saraab-e-jaan mein
us ki har lahr mein raqsaan hai tarannum teraa
vo ik lamha jo tere qurb ki khushbu se hai raushan
ab is lamhe ko paaband-e-salaasil chaahtaa huun main
chaar jaanib chikhti samton kaa shor
haanpte saae thakan aur inhitaat
mire kamre ki divaaron mein aise aaine bhi hain
ki jin ke paas har shakhs apnaa chehraa chhoD jaataa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
lamhon ke taar khinchtaa rahtaa thaa raat din
ik shakhs le gayaa miri sadiyaan sameT ke
har marhala-e-gham mein mili is se tasalli
har moD pe ghabraa ke tiraa naam liyaa hai
putliyon par raqs karnaa hi kalaam-e-fan nahin
dard ke aansu ko to paiham ravaani chaahiye