Shayari
ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
duaa karo ki main us ke liye duaa ho jaaun
vo ek shakhs jo dil ko duaa saa lagtaa hai
دعا کرو کہ میں اس کے لیے دعا ہو جاؤں
وہ ایک شخص جو دل کو دعا سا لگتا ہے
duā karo ki maiñ us ke liye duā ho jā.ūñ
vo ek shaḳhs jo dil ko duā sā lagtā hai

ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa
ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa
shaayad ki khudaa mein aur mujh mein
ik jast kaa aur faasla hai
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa
jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi
sochtaa jaaun magar dil mein basaae jaaun
laai hai ab uDaa ke gae mausamon ki baas
barkhaa ki rut kaa qahr hai aur ham hain dosto
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
gham-e-dil ab kisi ke bas kaa nahin
kyaa davaa kyaa duaa kare koi
jo zalzale mire qalb-o-jigar mein uThte hain
agar zamin mein uThte daraaz kar dete
banaate hain hazaaron zakhm-e-khandaan khanjar-e-gham se
dil-e-naashaad ko ham is tarah pur-shaad karte hain
mire labon kaa tabassum to sab ne dekh liyaa
jo dil pe biit rahi hai vo koi kyaa jaane