Shayari
thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
kyaa fikr-e-aab-o-naan ki gham kah rahaa hai ab
maujud huun ziyaafat-e-dil aur jigar ko main
کیا فکر آب و نان کہ غم کہہ رہا ہے اب
موجود ہوں ضیافت دل اور جگر کو میں
क्या फ़िक्र-ए-आब-ओ-नान कि ग़म कह रहा है अब
मौजूद हूँ ज़ियाफ़त-ए-दिल और जिगर को मैं

thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
dariyaa ki tarah ravaan huun lekin
ab tak bhi vahin huun main jahaan huun
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai
roz-e-jazaa mein aakhir puchhaa na jaaegaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa
dilbari jazb-e-mohabbat kaa karishma hai faqat
kuchh karaamat nahin jaadu nahin eajaaz nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo sang-dil angusht-ba-dandaan nazar aave
aisaa koi sadma miri jaan par nahin hotaa
main divaanaa huun sadaa kaa mujhe mat qaid karo
ji nikal jaaegaa zanjir ki jhankaar ke saath
shaamat hai kyaa ki shaikh se koi mile ki vaan
roza vabaal-e-jaan hai sadaa yaa namaaz hai