Shayari
dariyaa ki tarah ravaan huun lekin
ab tak bhi vahin huun main jahaan huun
thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
تھی چھیڑ اسی طرف سے ورنہ
میں اور مجال آرزو کی
थी छेड़ उसी तरफ़ से वर्ना
मैं और मजाल आरज़ू की

dariyaa ki tarah ravaan huun lekin
ab tak bhi vahin huun main jahaan huun
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai
roz-e-jazaa mein aakhir puchhaa na jaaegaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa
hai ashk-o-aah raas hamaare mizaaj ko
yaani pale hue isi aab-o-havaa ke hain
dilbari jazb-e-mohabbat kaa karishma hai faqat
kuchh karaamat nahin jaadu nahin eajaaz nahin
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
khvaahishein khuun mein utri hain sahifon ki tarah
in kitaabon mein tire haath ki tahrir bhi hai
isi hasrat mein kaTi raah-e-hayaat
koi do-chaar qadam saath chale
mai-e-kohna na sahi khun-e-tamannaa hi sahi
ek paimaana mire saamne laayaa to gayaa
tamannaaon mein uljhaayaa gayaa huun
khilaune de ke bahlaayaa gayaa huun
main muntazir huun teri tamannaa liye hue
aa jaa farogh-e-husn ki duniyaa liye hue