Shayari
thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
dariyaa ki tarah ravaan huun lekin
ab tak bhi vahin huun main jahaan huun
دریا کی طرح رواں ہوں لیکن
اب تک بھی وہیں ہوں میں جہاں ہوں
दरिया की तरह रवाँ हूँ लेकिन
अब तक भी वहीं हूँ मैं जहाँ हूँ

thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai
roz-e-jazaa mein aakhir puchhaa na jaaegaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa
hai ashk-o-aah raas hamaare mizaaj ko
yaani pale hue isi aab-o-havaa ke hain
dilbari jazb-e-mohabbat kaa karishma hai faqat
kuchh karaamat nahin jaadu nahin eajaaz nahin
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
in parbaton ke biich thi mastur ik guphaa
patthar ki narmiyon mein thi mahfuz kaaenaat
ham bhi dariyaa hain hamein apnaa hunar maalum hai
jis taraf bhi chal paDeinge raasta ho jaaegaa
fitrat mein aadmi ki hai mubham saa ek khauf
us khauf kaa kisi ne khudaa naam rakh diyaa
vo ab aate nahin dariyaa kinaare
utarte the jo gahre paaniyon mein
hausla hai to safinon ke alam lahraao
bahte dariyaa to chaleinge isi raftaar ke saath