Shayari
ye manzar ye ruup anokhe sab shahkaar hamaare hain
ham ne apne khun-e-jigar se kyaa kyaa naqsh ubhaare hain
ham se koi taalluq-e-khaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahi bevafaa to hai
ہم سے کوئی تعلق خاطر تو ہے اسے
وہ یار با وفا نہ سہی بے وفا تو ہے
हम से कोई तअल्लुक़-ए-ख़ातिर तो है उसे
वो यार बा-वफ़ा न सही बेवफ़ा तो है

ye manzar ye ruup anokhe sab shahkaar hamaare hain
ham ne apne khun-e-jigar se kyaa kyaa naqsh ubhaare hain
aap mein gum hain magar sab ki khabar rakhte hain
ghar mein baiThe hain zamaane pe nazar rakhte hain
ham to tamaam umr tiri hi adaa rahe
ye kyaa huaa ki phir bhi hamin bevafaa rahe
baagh mein jaa kar dekh liyaa
koi nahin thaa tujh saa phuul
kaise the log jin ki zabaanon mein nuur thaa
ab to tamaam jhuuT hai sachchaaiyon mein bhi
us ki khamoshiyon mein nihaan kitnaa shor thaa
mujh se sivaa vo dard kaa khugar lagaa mujhe
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
rafaaqaton ko zaraa sochne kaa mauqaa do
ki is ke baa'd ghane jangalon kaa rasta hai
dosti aur kisi gharaz ke liye
vo tijaarat hai dosti hi nahin