Shayari
jalaane vaale jalaate hi hain charaagh aakhir
ye kyaa kahaa ki havaa tez hai zamaane ki
buton ko toD ke aisaa khudaa banaanaa kyaa
buton ki tarah jo ham-shakl aadmi kaa ho
بتوں کو توڑ کے ایسا خدا بنانا کیا
بتوں کی طرح جو ہم شکل آدمی کا ہو
बुतों को तोड़ के ऐसा ख़ुदा बनाना क्या
बुतों की तरह जो हम-शक्ल आदमी का हो

jalaane vaale jalaate hi hain charaagh aakhir
ye kyaa kahaa ki havaa tez hai zamaane ki
ham mohabbat kaa sabaq bhuul gae
teri aankhon ne paDhaayaa kyaa hai
hone do charaaghaan mahlon mein kyaa ham ko agar divaali hai
mazdur hain ham mazdur hain ham mazdur ki duniyaa kaali hai
kise khabar thi ki le kar charaagh-e-mustafavi
jahaan mein aag lagaati phiregi bu-lahabi
nahin afsun hi ko afsaane ki manzil maalum
ghalat aaghaaz kaa hotaa hi hai anjaam ghalat
ai sajda-farosh-e-ku-e-butaan har sar ke liye ik chaukhaT hai
ye bhi koi shaan-e-ishq hui jis dar pe gae sar phoD liyaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
kabhi kabhi arz-e-gham ki khaatir ham ik bahaanaa bhi chaahte hain
jab aansuon se bhari hon aankhein to muskuraanaa bhi chaahte hain
vo dil se tang aa ke aaj mahfil mein husn ki tamkanat ki khaatir
nazar bachaanaa bhi chaahte hain nazar milaanaa bhi chaahte hain
log kahte hain mujhe is liye tanhaai-pasand
mujh se paagal ko kahin paas biThaanaa na paDe