Shayari
ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
shauq hai is dil-e-darinda ko
aap ke honT kaaT khaane kaa
شوق ہے اس دل درندہ کو
آپ کے ہونٹ کاٹ کھانے کا
shauq hai is dil-e-darinda ko
aap ke hoñT kaaT khāne kā

ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
juun hi darvaaza kholaa hai us ki khushbu aai hai
shishe ke is taraf se main sab ko tak rahaa huun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo jo na aane vaalaa hai naa us se mujh ko matlab thaa
aane vaalon se kyaa matlab aate hain aate honge
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye moajiza hai mohabbat mein surkh-rui kaa
bhare jahaan mein mujh be-hunar ke charche hain
rahne de apni bandagi zaahid
be-mohabbat khudaa nahin miltaa
ham sanam dam tire ishq kaa bhar gae
jal gae bhun gae kaT gae mar gae
kuchh der to is aql ko aaraam diyaa jaae
ai ishq tujhe aaj koi kaam diyaa jaae