Shayari
yahi haalaat ibtidaa se rahe
log ham se khafaa khafaa se rahe
isi jagah isi din to huaa thaa ye elaan
andhere haar gae zindabaad hindostaan
اسی جگہ اسی دن تو ہوا تھا یہ اعلان
اندھیرے ہار گئے زندہ باد ہندوستان
इसी जगह इसी दिन तो हुआ था ये एलान
अँधेरे हार गए ज़िंदाबाद हिन्दोस्तान

yahi haalaat ibtidaa se rahe
log ham se khafaa khafaa se rahe
hai paash paash magar phir bhi muskuraataa hai
vo chehra jaise ho TuuTe hue khilaune kaa
tab ham donon vaqt churaa kar laate the
ab milte hain jab bhi fursat hoti hai
main paa sakaa na kabhi is khalish se chhuTkaaraa
vo mujh se jiit bhi saktaa thaa jaane kyuun haaraa
main bachpan mein khilaune toDtaa thaa
mire anjaam ki vo ibtidaa thi
agar palak pe hai moti to ye nahin kaafi
hunar bhi chaahiye alfaaz mein pirone kaa
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
ijaazat maangti hai dukht-e-raz mahfil mein aane ki
mazaa ho shaikh-saahib kah uThein be-ikhtiyaar aae
tiis din yaar ab na aaegaa
is mahine kaa naam khaali hai