Shayari
aahaT bhi agar ki to tah-e-zaat nahin ki
lafzon ne kai din se koi baat nahin ki
khulti hain aasmaan mein samundar ki khiDkiyaan
be-din raaston pe kahin apnaa ghar to hai
کھلتی ہیں آسماں میں سمندر کی کھڑکیاں
بے دین راستوں پہ کہیں اپنا گھر تو ہے
खुलती हैं आसमाँ में समुंदर की खिड़कियाँ
बे-दीन रास्तों पे कहीं अपना घर तो है

aahaT bhi agar ki to tah-e-zaat nahin ki
lafzon ne kai din se koi baat nahin ki
bahut udaas thaa us din magar huaa kyaa thaa
har ek baat bhali thi to phir buraa kyaa thaa
dasht ki dhuup hai jangal ki ghani raatein hain
is kahaani mein bahr haal kai baatein hain
dosto tum se guzaarish hai yahaan mat aao
is baDe shahr mein tanhaai bhi mar jaati hai
raat aa jaae to phir tujh ko pukaarun yaa-rab
meri aavaaz ujaale mein bikhar jaati hai
khudaa aabaad rakkhe zindagi ko
hamaari khaamushi ko sah gai hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad