Shayari
ye jo mahfil mein mire naam se maujud huun main
main nahin huun miraa dhokaa hai koi dekh na le
us ne aanchal se nikaali miri gum-gashta bayaaz
aur chupke se mohabbat kaa varaq moD diyaa
اس نے آنچل سے نکالی مری گم گشتہ بیاض
اور چپکے سے محبت کا ورق موڑ دیا
उस ने आँचल से निकाली मिरी गुम-गश्ता बयाज़
और चुपके से मोहब्बत का वरक़ मोड़ दिया

ye jo mahfil mein mire naam se maujud huun main
main nahin huun miraa dhokaa hai koi dekh na le
ye kah ke us ne mujhe makhmase mein Daal diyaa
milaao haath agar vaaqai mohabbat hai
mujhe tanhaai ki aadat hai meri baat chhoDein
ye liije aap kaa ghar aa gayaa hai haat chhoDein
ye jo milaate phirte ho tum har kisi se haath
aisaa na ho ki dhonaa paDe zindagi se haath
guzar rahi thi zindagi guzar rahi hai zindagi
nasheb ke baghair bhi faraaz ke baghair bhi
aap se ab kyaa chhupaanaa aap koi ghair hain
ho chukaa huun main kisi kaa aap bhi ho jaaiye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat aam saa ik vaaqia thaa
hamaare saath pesh aane se pahle
apne dil-e-betaab se main khud huun pareshaan
kyaa duun tumhein ilzaam main kuchh soch rahaa huun
dhuaan detaa hai daamaan-e-mohabbat
in aankhon se koi aansu giraa hai
kis nazar se aap ne dekhaa dil-e-majruh ko
zakhm jo kuchh bhar chale the phir havaa dene lage