Shayari
kis tarah be-mauj aur khaali ravaani se huaa
be-khabar dariyaa kahaan par apne paani se huaa
maza to jab hai udaasi ki shaam ho 'shaahin'
aur us ke biich se shaam-e-tarab nikal aae
مزہ تو جب ہے اداسی کی شام ہو شاہیںؔ
اور اس کے بیچ سے شام طرب نکل آئے
मज़ा तो जब है उदासी की शाम हो 'शाहीं'
और उस के बीच से शाम-ए-तरब निकल आए

kis tarah be-mauj aur khaali ravaani se huaa
be-khabar dariyaa kahaan par apne paani se huaa
samajh rahaa hai zamaana riyaa ke pichhe huun
main ek aur tarah se khudaa ke pichhe huun
thoDaa saa kahin jama bhi rakh dard kaa paani
mausam hai koi khushk saa barsaat se aage
Dubne vaalaa thaa din shaam thi hone vaali
yuun lagaa miri koi chiiz thi khone vaali
kuchh zamaane ki ravish ne sakht mujh ko kar diyaa
aur kuchh bedard main us ko bhulaane se huaa
judaa thi baam se divaar dar akelaa thaa
makin the khud mein magan aur ghar akelaa thaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
munh chhupaanaa paDe na dushman se
ai shab-e-gham sahar na ho jaae
ishq jab tak na aas-paas rahaa
husn tanhaa rahaa udaas rahaa
tanhaaiyon mein aati rahi jab bhi us ki yaad
saaya saa ik qarib mire Doltaa rahaa