Shayari
bujhaaun kyaa charaagh-e-subh-gaahi
mire ghar shaam honi hai sahar se
munh chhupaanaa paDe na dushman se
ai shab-e-gham sahar na ho jaae
منہ چھپانا پڑے نہ دشمن سے
اے شب غم سحر نہ ہو جائے
मुँह छुपाना पड़े न दुश्मन से
ऐ शब-ए-ग़म सहर न हो जाए

bujhaaun kyaa charaagh-e-subh-gaahi
mire ghar shaam honi hai sahar se
chaahat kaa jab mazaa hai ki vo bhi hon be-qaraar
donon taraf ho aag baraabar lagi hui
shirkat gunaah mein bhi rahe kuchh savaab ki
tauba ke saath toDiye botal sharaab ki
kuchh to hote hain mohabbat mein junun ke aasaar
aur kuchh log bhi divaana banaa dete hain
samjheinge na aghyaar ko aghyaar kahaan tak
kab tak vo mohabbat ko mohabbat na kaheinge
ishq kyaa shai hai husn hai kyaa chiiz
kuchh idhar ki hai kuchh udhar ki aag
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
na pi sako to idhar aao ponchh duun aansu
ye tum ne sun liye is dil ke saanehaat kahaan
mahfil ke biich sun ke mire soz-e-dil kaa haal
be-ikhtiyaar shama ke aansu Dhalak paDe
sune kyun-kar vo labbaik-e-haram ko
jise naaqus ki aae sadaa khush