Shayari
aah ye mahki hui shaamein ye logon ke hujum
dil ko kuchh biiti hui tanhaaiyaan yaad aa gaiin
tanhaaiyon mein aati rahi jab bhi us ki yaad
saaya saa ik qarib mire Doltaa rahaa
تنہائیوں میں آتی رہی جب بھی اس کی یاد
سایہ سا اک قریب مرے ڈولتا رہا
तन्हाइयों में आती रही जब भी उस की याद
साया सा इक क़रीब मिरे डोलता रहा

aah ye mahki hui shaamein ye logon ke hujum
dil ko kuchh biiti hui tanhaaiyaan yaad aa gaiin
hamein khabar hai ki ham hain charaagh-e-aakhir-e-shab
hamaare baa'd andheraa nahin ujaalaa hai
sirat na ho to aariz-o-rukhsaar sab ghalat
khushbu uDi to phuul faqat rang rah gayaa
koi dastak koi aahaT na shanaasaa aavaaz
khaak uDti hai dar-e-dil pe bayaabaan ki tarah
farz barson ki ibaadat kaa adaa ho jaise
but ko yuun puuj rahe hain ki khudaa ho jaise
kul kaaenaat fikr se aazaad ho gai
insaan misaal-e-dast-e-tah-e-sang rah gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
koi dastak koi aahaT na sadaa hai koi
duur tak ruuh mein phailaa huaa sannaaTaa hai
har ek mausam mein raushni si bikherte hain
tumhaare gham ke charaagh meri udaasiyon mein
be-sadaa kyuun guzarte ho aavaaz do
ab bhi kuchh log andar makaanon mein hain