Shayari
be-tuki raushni mein paraae andhere liye
ek manzar hai tere liye ek mere liye
suno ki ab ham gulaab deinge gulaab leinge
mohabbaton mein koi khasaara nahin chalegaa
سنو کہ اب ہم گلاب دیں گے گلاب لیں گے
محبتوں میں کوئی خسارہ نہیں چلے گا
सुनो कि अब हम गुलाब देंगे गुलाब लेंगे
मोहब्बतों में कोई ख़सारा नहीं चलेगा

be-tuki raushni mein paraae andhere liye
ek manzar hai tere liye ek mere liye
ajab khvaabon se meraa raabta rakkhaa gayaa
mujhe soe-huon mein jaagtaa rakkhaa gayaa
har ek had se pare apnaa boriyaa le jaa
badi kaa naam na le aur nekiyon se nikal
jo din chaDhaa to hamein niind ki zarurat thi
sahar ki aas mein ham log raat bhar jaage
koi kahaani koi vaaqia sunaa to sahi
agar hansaa nahin saktaa mujhe rulaa to sahi
nikal gulaab ki muTThi se aur khushbu ban
main bhaagtaa huun tire pichhe aur tu jugnu ban
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
ab ki jo raah-e-mohabbat mein uThaai taklif
sakht hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi