Shayari
allaah taa-qayaamat tujh ko rakhe salaamat
kyaa kyaa sitam na dekhe ham ne tire karam se
J
Joshish Azimabadimunis-e-taaza hain ye dard-o-alam
muddaton kaa rafiq hai gham to
مونس تازہ ہیں یہ درد و الم
مدتوں کا رفیق ہے غم تو
मूनिस-ए-ताज़ा हैं ये दर्द-ओ-अलम
मुद्दतों का रफ़ीक़ है ग़म तो
allaah taa-qayaamat tujh ko rakhe salaamat
kyaa kyaa sitam na dekhe ham ne tire karam se
tujh se ham-bazm hon nasib kahaan
tu kahaan aur main gharib kahaan
zaahid na rahne paaeinge aabaad mai-kade
jab tak na Dhaaiyegaa tiri khaanqaah ko
vo maah bhar ke jaam-e-mai-naab le gayaa
ik dam mein aaftaab ko mahtaab le gayaa
ai zulf-e-yaar tujh se bhi aashufta-tar huun main
mujh saa na koi hogaa pareshaan-e-rozgaar
chashm-e-vahdat se gar koi dekhe
but-parasti bhi haq-parasti hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa