Shayari
peD ke kaaTne vaalon ko ye maalum to thaa
jism jal jaaeinge jab sar pe na saaya hogaa
tum itnaa jo muskuraa rahe ho
kyaa gham hai jis ko chhupaa rahe ho
تم اتنا جو مسکرا رہے ہو
کیا غم ہے جس کو چھپا رہے ہو
तुम इतना जो मुस्कुरा रहे हो
क्या ग़म है जिस को छुपा रहे हो

peD ke kaaTne vaalon ko ye maalum to thaa
jism jal jaaeinge jab sar pe na saaya hogaa
gar Dubnaa hi apnaa muqaddar hai to suno
Dubeinge ham zarur magar naakhudaa ke saath
ghurbat ki ThanDi chhaanv mein yaad aai us ki dhuup
qadr-e-vatan hui hamein tark-e-vatan ke baad
ik khvaab khushi kaa dekhaa nahin dekhaa jo kabhi to bhuul gae
maangaa huaa tum kuchh de na sake jo tum ne diyaa vo sahne do
divaarein to har taraf khaDi hain
kyaa ho gae mehrbaan saae
dil ki naazuk ragein TuTti hain
yaad itnaa bhi koi na aae
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tujhe bhi dekh liyaa ham ne o khudaa-e-ajal
ki teraa zor chalaa bhi to ahl-e-gham pe chalaa
tum jo chaaho to mire dard kaa darmaan ho jaae
varna mushkil hai ki mushkil miri aasaan ho jaae
nur-e-sahar kahaan hai agar shaam-e-gham gai
kab iltifaat thaa ki jo khu-e-sitam gai