Shayari
na ham vahshat mein apne ghar se nikle
na sahraa apni viraani se niklaa
kyaa kahein aur dil ke baare mein
ham mulaazim hain is idaare mein
کیا کہیں اور دل کے بارے میں
ہم ملازم ہیں اس ادارے میں
क्या कहें और दिल के बारे में
हम मुलाज़िम हैं इस इदारे में

na ham vahshat mein apne ghar se nikle
na sahraa apni viraani se niklaa
bane hain kaam sab uljhan se mere
yahi atvaar hain bachpan se mere
zindagi mein kasak zaruri thi
ye khalaa pur tiri kami se huaa
haal puchhaa na kare haath milaayaa na kare
main isi dhuup mein khush huun koi saaya na kare
kyaa chaahti hai ham se hamaari ye zindagi
kyaa qarz hai jo ham se adaa ho nahin rahaa
mere andar kaa shor hai mujh mein
varna baahar to khaamushi hai yahaan
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
baadal ke ek TukDe mein kyon dab gai tapish
suraj hazaar darja jalaali banaa rahaa