Shayari
ki mire baa'd qatl se tauba
aakhiri tiir thaa kamaan mein kyaa
K
Khalida Uzmabasi hai sukhe gulaabon ki baat saanson mein
koi khayaal kisi yaad ke hisaar mein hai
بسی ہے سوکھے گلابوں کی بات سانسوں میں
کوئی خیال کسی یاد کے حصار میں ہے
बसी है सूखे गुलाबों की बात साँसों में
कोई ख़याल किसी याद के हिसार में है
ki mire baa'd qatl se tauba
aakhiri tiir thaa kamaan mein kyaa
idhar udhar ke sunaae hazaar afsaane
dilon ki baat sunaane kaa hausla na huaa
chale aate hain be-mausam ki baarish ki tarah aansu
basaa-auqaat rone kaa sabab kuchh bhi nahin hotaa
ziist aur maut kaa aakhir ye fasaana kyaa hai
umr kyuun hasb-e-zarurat nahin di jaa sakti
haqiqatein to aTal hain badal nahin saktin
magar kisi ki tasalli se hausla huaa hai
vo tapish hai ki jal uThe saae
dhuup rakkhi thi saaebaan mein kyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
vo mil na sake yaad to hai un ki salaamat
is yaad se bhi ham ne bahut kaam liyaa hai
taaaqub mein hai mere yaad kis ki
main kis ko bhuul jaanaa chaahtaa huun
is bhare shahr mein din raat Thaharte hi nahin
kaun yaadon ke safar-naame ko tahrir kare
aise mar jaaein koi naqsh na chhoDein apnaa
yaad dil mein na ho akhbaar mein tasvir na ho
ye kaisaa tanaaza hai ki faisal nahin hotaa
haq teraa ziyaada hai ki hukkaam kaa tere