Shayari
ki mire baa'd qatl se tauba
aakhiri tiir thaa kamaan mein kyaa
K
Khalida Uzmachale aate hain be-mausam ki baarish ki tarah aansu
basaa-auqaat rone kaa sabab kuchh bhi nahin hotaa
چلے آتے ہیں بے موسم کی بارش کی طرح آنسو
بسا اوقات رونے کا سبب کچھ بھی نہیں ہوتا
चले आते हैं बे-मौसम की बारिश की तरह आँसू
बसा-औक़ात रोने का सबब कुछ भी नहीं होता
ki mire baa'd qatl se tauba
aakhiri tiir thaa kamaan mein kyaa
idhar udhar ke sunaae hazaar afsaane
dilon ki baat sunaane kaa hausla na huaa
ziist aur maut kaa aakhir ye fasaana kyaa hai
umr kyuun hasb-e-zarurat nahin di jaa sakti
basi hai sukhe gulaabon ki baat saanson mein
koi khayaal kisi yaad ke hisaar mein hai
haqiqatein to aTal hain badal nahin saktin
magar kisi ki tasalli se hausla huaa hai
vo tapish hai ki jal uThe saae
dhuup rakkhi thi saaebaan mein kyaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aap ke dushman rahein vaqf-e-khalish sarf-e-tapish
aap kyuun gham-khvaari-e-bimaar-e-hijraan kijiye
kyaa khabar thi ki mujhe is ne jakaD lenaa hai
main udaasi pe bahut tanz kiyaa kartaa thaa
aap hamdardi na yuun jatlaaiye
ye miraa maamul kaa nuqsaan hai