Shayari
tumhaare bakhshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaaq mein taare sajaa rahaa huun main
M
Mahfuzur Rahman Adiljo teri zulf ke saae mein chand din guzre
vo gham ki dhuup mein yaad aae saaebaan ki tarah
جو تیری زلف کے سائے میں چند دن گزرے
وہ غم کی دھوپ میں یاد آئے سائباں کی طرح
जो तेरी ज़ुल्फ़ के साए में चंद दिन गुज़रे
वो ग़म की धूप में याद आए साएबाँ की तरह
tumhaare bakhshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaaq mein taare sajaa rahaa huun main
usi ne bakhshaa hai mujh ko shuur jiine kaa
jo mushkilon ki ghaDi baar baar aai hai
vo miri aavaaragardi vo miraa divaana-pan
vo miri taazim mein divaar-o-dar kaa jaagnaa
zindagi ko hausla dene ke khaatir
khvaahishon ko reza reza chun rahaa huun
khud mire aansu chamak rakhte hain gauhar ki tarah
meri chashm-e-aarzu mein maah-o-akhtar kuchh nahin
ek din vo zarron ko aaftaab kar leinge
dhuup ke jo khvaahaan hain raat ke andhere mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
milne diyaa na us se hamein jis khayaal ne
sochaa to us khayaal se sadma bahut huaa
khush hue itne ki ham se pahle
maqdam-e-yaar ko aansu nikle
aaj ki raat bhi tanhaa hi kaTi
aaj ke din bhi andheraa hogaa