Shayari
vo apne ‘abd-e-haqiqi ko aazmaataa hai
har ik bashar kaa yahaan imtihaan nahin hotaa
yaqin jaaniye tab jaa ke pyaar hotaa hai
kisi ke zehn pe jab dil savaar hotaa hai
یقین جانئے تب جا کے پیار ہوتا ہے
کسی کے ذہن پے جب دل سوار ہوتا ہے
यक़ीन जानिए तब जा के प्यार होता है
किसी के ज़ह्न पे जब दिल सवार होता है

vo apne ‘abd-e-haqiqi ko aazmaataa hai
har ik bashar kaa yahaan imtihaan nahin hotaa
vaqt ke paanv bhi nahin mehvar
aur raftaar bhi ghazab ki hai
ghaur se dekhnaa hanste hue chehre ki taraf
ek manzar pas-e-manzar kai manzar degaa
aaj gar bole nahin haq baat par
kal sitam honge tumhaari zaat par
ulfat to dekhiye miri didaar ke sabab
darvesh ban ke yaar ki chaukhaT pe aa gayaa
ek muddat se niind taari hai
ek muddat se so nahin paae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
maashuq se bhi ham ne nibhaai baraabari
vaan lutf kam huaa to yahaan pyaar kam huaa
ho gayaa raaz-e-ishq be-parda
us ne parde se jo nikaalaa munh
mohabbat mein vafaa ki had jafaa ki intihaa kaisi
'mubaarak' phir na kahnaa ye sitam koi sahe kab tak