Shayari
baat karnaa hai karo saamne itraao nahin
jo nahin jaante us baat ko samjhaao nahin
honT ki surkhi jhaank uThti hai shishe ke paimaanon se
miTTi ke bartan mein paani pi kar pyaas bujhaayaa kar
ہونٹ کی سرخی جھانک اٹھتی ہے شیشے کے پیمانوں سے
مٹی کے برتن میں پانی پی کر پیاس بجھایا کر
होंट की सुर्ख़ी झाँक उठती है शीशे के पैमानों से
मिट्टी के बर्तन में पानी पी कर प्यास बुझाया कर

baat karnaa hai karo saamne itraao nahin
jo nahin jaante us baat ko samjhaao nahin
lohe aur patthar ki saari tasvirein miT jaaeingi
kaaghaz ke parde par ham ne sab ke ruup jamaae hain
qarib dekh ke us ko ye baat kis se kahun
khayaal dil mein jo aayaa gunaah jaisaa thaa
mujhi se puchh rahaa thaa miraa pataa koi
buton ke shahr mein maujud thaa khudaa koi
biis baras se ik taare par man ki jot jagaataa huun
divaali ki raat ko tu bhi koi diyaa jalaayaa kar
sukhe patte sab ikaTThe ho gae hain
raaste mein ek divaar aa gai hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi