Shayari
hujum-e-baada-o-gul mein hujum-e-yaaraan mein
kisi nigaah ne jhuk kar mire salaam liye
raat bhar dard ki shama jalti rahi
gham ki lau thartharaati rahi raat bhar
رات بھر درد کی شمع جلتی رہی
غم کی لو تھرتھراتی رہی رات بھر
रात भर दर्द की शम्अ जलती रही
ग़म की लौ थरथराती रही रात भर

hujum-e-baada-o-gul mein hujum-e-yaaraan mein
kisi nigaah ne jhuk kar mire salaam liye
tumhaare jism kaa suraj jahaan jahaan TuuTaa
vahin vahin miri zanjir-e-jaan bhi TuuTi hai
hayaat le ke chalo kaaenaat le ke chalo
chalo to saare zamaane ko saath le ke chalo
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar
ishq ke shoale ko bhaDkaao ki kuchh raat kaTe
dil ke angaare ko dahkaao ki kuchh raat kaTe
ye tamannaa hai ki uDti hui manzil kaa ghubaar
subh ke parde mein yaad aa gai shaam aahista
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kaun se dukh ko palle baandhein kis gham ko tahrir karein
yaan to dard sivaa hotaa hai aur bhi arz-e-haal ke baad
zindagi raazi nahin thi gham uThaane ke liye
ham chale aae yahaan tak muskuraane ke liye
kitaab-e-ishq mein har aah ek aayat hai
par aansuon ko huruf-e-muqattiaat samajh