Shayari
raushan chehra bhigi zulfein duun kis ko kis par tarjih
ek qasida dhuup kaa likkhun ek ghazal barsaat ke naam
kaash daulat-e-gham hi apne paas bach rahti
vo bhi un ko de baiThe aisi maat khaai hai
کاش دولت غم ہی اپنے پاس بچ رہتی
وہ بھی ان کو دے بیٹھے ایسی مات کھائی ہے
काश दौलत-ए-ग़म ही अपने पास बच रहती
वो भी उन को दे बैठे ऐसी मात खाई है

raushan chehra bhigi zulfein duun kis ko kis par tarjih
ek qasida dhuup kaa likkhun ek ghazal barsaat ke naam
kuchh gham-e-jaanaan kuchh gham-e-dauraan donon meri zaat ke naam
ek ghazal mansub hai us se ek ghazal haalaat ke naam
haal-e-pareshaan sun kar meraa aankh mein us ki aansu hain
main ne us se jhuuT kahaa ho aisaa bhi ho saktaa hai
na khauf-e-barq na khauf-e-sharar lage hai mujhe
khud apne baagh ke phulon se Dar lage hai mujhe
chehre pe saare shahr ke gard-e-malaal hai
jo dil kaa haal hai vahi dilli kaa haal hai
dekhoge to har moD pe mil jaaeingi laashein
DhunDoge to is shahr mein qaatil na milegaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sab ko bataa diyaa ki main behad udaas huun
itni si baat ko bhi khabar kar diyaa gayaa
fikr-e-fardaa gham-e-imroz gham-e-maut-o-hayaat
aadmi kyaa huaa majmua-e-aalaam huaa
raatein aish-o-ishrat ki din dukh dard musibat ke
aati aati aati hain jaate jaate jaate hain