Shayari
aakhir ham ko be-zaari tak le aai
har shai par girvida rahne ki aadat
dil kaa saaraa dard bharaa tasviron mein
ek musavvir naqsh huaa tasviron mein
دل کا سارا درد بھرا تصویروں میں
ایک مصور نقش ہوا تصویروں میں
दिल का सारा दर्द भरा तस्वीरों में
एक मुसव्विर नक़्श हुआ तस्वीरों में

aakhir ham ko be-zaari tak le aai
har shai par girvida rahne ki aadat
chand lakirein to is darja gahri thiin
dekhne vaalaa Duub gayaa tasviron mein
kitni ujlat mein miTaa Daalaa gayaa
aag mein sab kuchh jalaa Daalaa gayaa
baat karne kaa hasin taur-tariqa sikhaa
ham ne urdu ke bahaane se saliqa sikhaa
miri aavaargi hi mere hone ki alaamat hai
mujhe phir is safar ke baa'd bhi koi safar denaa
ab apnaa chehra begaana lagtaa hai
ham ko thi sanjida rahne ki aadat
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tere jaane ke baa'd jaanaa hai
zindagi hai safar udaasi kaa
jangal mein udaasi ke rahoge bhalaa kab tak
kuchh raah banaa kar ke nikal kyon nahin jaate
dastak mein koi dard ki khushbu zarur thi
darvaaza kholne ke liye ghar kaa ghar uThaa