Shayari
ishq pe ijtihaad kar kar ke
mujtahid ho gayaa huun main gham kaa
hone do agar ho gae kuchh log bure bhi
gulshan mein agar phuul hain to khaar bhi honge
ہونے دو اگر ہو گئے کچھ لوگ برے بھی
گلشن میں اگر پھول ہیں تو خار بھی ہوں گے
होने दो अगर हो गए कुछ लोग बुरे भी
गुलशन में अगर फूल हैं तो ख़ार भी होंगे

ishq pe ijtihaad kar kar ke
mujtahid ho gayaa huun main gham kaa
mohabbat ki bhi to ik bevafaa se
ye qatl-e-khud nahin to aur kyaa hai
hai isi baat kaa malaal mujhe
ki mujhe ab koi malaal nahin
laDkaa na koi phir se ho barbaad dahr mein
tujh par na jaaein beTiyaan teri khudaa kare
miri nigaah ko gar teri diid ho jaae
qasam khudaa ki miri iid iid ho jaae
raahon ke pattharon kaa bhalaa kyaa gila karun
ab aadmi ke dil bhi to patthar ke ho gae
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
ab us se kahnaa ki agle hisse mein aane vaalaa hai moD aisaa
jahaan kisi kaa main hal banungaa koi miraa masala banegaa