Shayari
behtar hai ki ab khud se judaa ho ke bhi dekhein
dariyaa mein to dariyaa kaa havaala nahin miltaa
khush na ho aansuon ki baarish par
barq hai chashm-e-tar ke pahlu mein
خوش نہ ہو آنسوؤں کی بارش پر
برق ہے چشم تر کے پہلو میں
ख़ुश न हो आँसुओं की बारिश पर
बर्क़ है चश्म-ए-तर के पहलू में

behtar hai ki ab khud se judaa ho ke bhi dekhein
dariyaa mein to dariyaa kaa havaala nahin miltaa
naqaab uThaao to har shai ko paaoge saalim
ye kaaenaat ba-taur-e-hijaab TuTti hai
aalaa mein to adnaa ke havaale hi havaale
adnaa hi mein aalaa kaa havaala nahin miltaa
in ashkon kaa dil se kyaa taalluq
ye shoale jigar se aa rahe hain
hamaare aasmaan kaa har sitaara sab pe raushan hai
kisi zakhm-e-mohabbat ko nihaan ham ne nahin rakkhaa
aansu aansu jis ne dariyaa paar kiye
qatra qatra aab mein uljhaa baiThaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaarab tu us ke dil se sadaa rakhiyo gham ko duur
jis ne kisi ke dil ko kabhi shaadmaan kiyaa
baDaa ghaaTe kaa saudaa hai 'sadaa' ye saans lenaa bhi
baDhe hai umr jyun-jyun zindagi kam hoti jaati hai
mohabbat ke marizon kaa mudaavaa hai zaraa mushkil
utartaa hai 'sadaa' un kaa bukhaar aahista aahista