Shayari
khushbu si koi aae to lagtaa hai ki tum ho
shisha kahin Takraae to lagtaa hai ki tum ho
M
Masooda Hayathazaar dard sameTe hue huun ik dil mein
bikhar gai jo miri daastaan to kyaa hogaa
ہزار درد سمیٹے ہوئے ہوں اک دل میں
بکھر گئی جو مری داستاں تو کیا ہوگا
हज़ार दर्द समेटे हुए हूँ इक दिल में
बिखर गई जो मिरी दास्ताँ तो क्या होगा
khushbu si koi aae to lagtaa hai ki tum ho
shisha kahin Takraae to lagtaa hai ki tum ho
kyaa gharaz ham ko vahaan ab koi bhi aabaad ho
ham to us basti se ghar apnaa uThaa kar le gae
ghar se jo shakhs bhi nikle vo sambhal kar nikle
jaane kis moD pe kis haath mein khanjar nikle
kis se shikva karein viraani-e-hasti kaa 'hayaat'
ham ne khud apni tamannaaon ko jiine na diyaa
hazaar shauq numaayaan the jis nazar se kabhi
vahi nigaah baDi ajnabi si lagti hai
ek khushbu si ubharti hai nafas se mere
ho na ho aaj koi aan basaa hai mujh mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jis taraf baiThte the vasl mein aap
usi pahlu mein dard rahtaa hai
ghamon par us ke kabhi e'tibaar mat karnaa
vo pyaaz kaaT ke aansu nikaal letaa hai
kaun se dukh ko palle baandhein kis gham ko tahrir karein
yaan to dard sivaa hotaa hai aur bhi arz-e-haal ke baad