Shayari
vahi din hai hamaari iid kaa din
jo tiri yaad mein guzartaa hai
har siina aah hai tire paikaan kaa muntazir
ho intikhaab ai nigah-e-yaar dekh kar
ہر سینہ آہ ہے ترے پیکاں کا منتظر
ہو انتخاب اے نگہ یار دیکھ کر
हर सीना आह है तिरे पैकाँ का मुंतज़िर
हो इंतिख़ाब ऐ निगह-ए-यार देख कर

vahi din hai hamaari iid kaa din
jo tiri yaad mein guzartaa hai
daur-e-hayaat aaegaa qaatil qazaa ke baad
hai ibtidaa hamaari tiri intihaa ke baad
qatl-e-husain asl mein marg-e-yazid hai
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke baad
tauhid to ye hai ki khudaa hashr mein kah de
ye banda zamaane se khafaa mere liye hai
na namaaz aati hai mujh ko na vazu aataa hai
sajda kar letaa huun jab saamne tu aataa hai
saari duniyaa ye samajhti hai ki saudaai hai
ab miraa hosh mein aanaa tiri rusvaai hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue