Shayari
gham se naazuk zabt-e-gham ki baat hai
ye bhi dariyaa hai magar Thahraa huaa
qaid-e-gham-e-hayaat bhi kyaa chiiz hai 'fanaa'
raah-e-faraar mil na saki umr-bhar phire
قید غم حیات بھی کیا چیز ہے فناؔ
راہ فرار مل نہ سکی عمر بھر پھرے
क़ैद-ए-ग़म-ए-हयात भी क्या चीज़ है 'फ़ना'
राह-ए-फ़रार मिल न सकी उम्र-भर फिरे

gham se naazuk zabt-e-gham ki baat hai
ye bhi dariyaa hai magar Thahraa huaa
vo aankh kyaa jo aariz o rukh par Thahar na jaae
vo jalva kyaa jo diida o dil mein utar na jaae
mujhe rutba-e-gham bataanaa paDegaa
agar mere pichhe zamaana paDegaa
tire vaadon pe kahaan tak miraa dil fareb khaae
koi aisaa kar bahaana miri aas TuuT jaae
ik tujh ko dekhne ke liye bazm mein mujhe
auron ki samt maslahatan dekhnaa paDaa
koi paaband-e-mohabbat hi bataa saktaa hai
ek divaane kaa zanjir se rishta kyaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
honaa paDaa hai khugar-e-gham bhi khushi ki khair
vo mujh pe mehrbaan hain magar be-rukhi ke saath
thi siyaahiyon kaa maskan miri zindagi ki vaadi
tire husn ke tasadduq mujhe raushni dikhaa di
mujhe na Dar hai qayaamat kaa ab na khauf-e-ajal
main dard-e-tark-e-mulaaqaat sah ke aaya huun